Tuesday, 27 January 2015

Meera Decided To Meet Molana Tariq Jameel

Meera Decided To Meet Molana Tariq Jameel



Pakistan tahreek e insaf kay chairmain Imran Khan say shadi ki umeedwar adakara Meera nay bhi mashhoor alm e deen molana Tariq Jameel say rabty ka faisla kar liya hai. Aur ainda hafty honay wali motwaqa mulaqat main woh dili skoon kay liye dua ki darkhwast karain gi. 
Khabr rasan agency "online" aur mukhtlif media reports kay mutabiq ghiar mulki website ko diye gaye interview main adakara Meera nay bataya kay woh zahni skoon kay liye maroof alm e deen molana Tariq Jameel say rabty ka irada rakhti hain. Unka kahna tha kay woh apni zindagi say mutmain nahein aur zahni skoon chahti hain. Is silsly main woh molana Tariq Jameel say dua ki darkhwast karain gi. Kaha ja raha hai kay adakara ka zahni skoon gharat honay ki asal wajah Imran Khan ki shadi hai. Keo kay woh Imran khan say shadi ki buhat shidat say khwahish mand thein. Unhon nay aik nahein do bar Imran khan ko shadi ka proposal bhaja tha. Aik bar tab jub unhon nay PTI kay jalsay main shadi ki khwahish ka izhar kia tha laikin unhon nay tal dia aur dosri bar tab jub dharnay kay ikhttam par un ki shadi ki khabrain gardish karnay lagein laikin Imran Khan nay is bar bhi unka dil tor dia aur Reham Khan ko apna shareek e safar chun liya. Meera kai bar media par apni is khawahish kay hawaly say bayanat bhi day chuki thein. So Imran khan ki shadi nay aur un kay reject hony nay unhain kafi disturb kar dia hai jis ki wajah say woh molana Tariq Jameel say milna chahti hian. 
Yad rahy kay Molana Tariq Jameel showbiz aur khail say wabasta logon ki zindagyan badlany main mashhoor hain. Aur kaha jata hay kay Veena malik, Junaid Jamshaid, Said Anwar, Mohammad Yousaf, Shoab Akhtar molan Tariq Jameel ki wajah say hi tabdeel hovay hain.  




Sponsored Link

It Was Black Water not Taliban Behind The Peshawar Attack

It Was Black Water not Taliban Behind The Peshawar Attack



America kbhi Pakistan ka khairkhwah nahein ho sakta yeh to amoomi khayal tha laikin yeh khyal hamary hukmranon
ka hargiz nahein tha. Buhat dafa yeh bat kai pahloon say sabit bhi hoi per usay daba dia gia. Us peh na koi ahtjaj 
kia gia aur na hi jawab dahi ki gai. Akhir ko america hamary hukmranon ka pait jo bharta hai. Hamain qarzon kay hasool kay liye america ki zroorat jo hai laikin hamary hukmran yeh bhool hi jaty hain kay America ko bhi buhat c chezon kay liye hamari zroorat hai. Hal hi main Sanih Pashawar nay pori qoam ko hila kay rakh dia. Is ki zimadari taliban nay apnay sar li. Laikin akhir yeh tlibn kon hain haqeeqat main inhain kon janam day raha hai. 
Ab haqeeqat kuh aur hi samnay a rahi hai. Ab America kay sahafi nay live show main yeh zimadari qbool ki hai kay darhaqeeqat yeh taliban nahien balkay taliban ka libada aurh kay America ki black water khufya agency hai jo kay Peshawar attack ki zimadar hai. Na sirf Peshawar attack balky Pakistan main honay waly buhat say bomb blosts ki zimadar yahi agency hai. Amrici sahafi kay mutabiq America Pakistan ko torna chaha hai. Jis ki bari wajah Pakistan ka Atomic power hona hai. America Pakistan ko apnay liye khatra samjhta hai is liye isay kamzoor kar kay hathyana chahta hai. Pakistan ko apnay dakhli masail main hi uljhay rakhna chahta hai. Ta kay taraqi kay mansoobon ki taraf ghor karnay ka waqt hi na mily. Pakistan main dhamaky karnay waly koi taliban nahein balkay yeh dhamaky black water karti hai aur ilzam taliban kay sar dal dia jata hai. Jisy hum aur hamary hukmran bgair kisi heel o hujat kay qabool kar laity hain. Jis ka faida ab tak America utha raha hai. Ab to taliban nay bhi is bat ki tasdeeq kar di hai kay Peshawar main attack karnay waly woh nahein hain. Ab daikhna yeh hai kay itna wazeh bayan anay kay bad hamari hakoomat kia karti hai. Aya ab bhi woh America say baz purs karnay ki himat karti hai ya is bar bhi mamla daba dia jata hai. America kay Pakistan ko tornay kay mansooby kay bary main Amrici sahafi kay larzah khaiz inkshafat is video main daikhain. 


Sponsored Link

Thursday, 22 January 2015

Pakistani Boys Mind blowing Dance

Pakistani Boys Mind blowing Dance 


Dance kisy pasand nahein hai. Aj kay dor main har koi dance ka rasiya hai. Hata kay bachy jinhain shaor bhi nahein hot woh bhi moseeqi ki thap peh thirakna shoro kar daity hain. Tv paeh bhi kai programm chalty hain jo dance kay hawaly say hoty hain. In programms ko daikh kar bhi dance ka shok aur ubharta hai. Hamary shadi biyah kay funnction bhi nach gany kay bgair adhory hoty hain. Larkay aur larkiyan har koi dance ka deewana nazar ata hai. Laikin ab dance ka maqsad kuch aur hi ban chuka hai. 
Ab nojwan nasl nay isay zayada hi sar peh sawar kkar liya hai kay apni mazhabi aur masharti iqdar ko hi faramosh kar baithy hain. 
Larkiyan to larkiyan larky bhi kai jaghon per dance ki practice karty nazr aty hain. kise function ya party main daikhain to pahly larkiyan hi raqs krti dikhai daite thein laikin ab larky un say bhi zayada jhoom rahy hoty hain. Baz auqat to larkon ka dance is qadr munfrid aur khoobsorat hota hai kay insan film actors ko bhool jata hai. Larkay itnay mushkil mushkil stunned mar rahy hoty hain kay woh dance kam military ki trainning zayada maloom hota hai. Laikin insan unki is koshish peh dad diye bghair nahein rah sakta. 
Is video main teen larky kise local area main dance ki practice kar rahy hain. Un kay dance ka andaz rawayti bhangry aur Pakistani dance say hat kay hai. Woh buhat khobsoorat andaz main dance kar rahy hain. Un kay step bilkul western hain. Kuch dance unka robort aur kuch statue andaz main hai. Woh teenon bari bari apny buhat combination say apna apna dance dikha rahy hain. Is video ko daikh kar insan waqie lutf uthata hai. 



Sponsored Link