Thursday 18 December 2014

After Saniha Peshawar The worst Situation of School

After Saniha Peshawar The worst Situation of School


Afwaj e Pakistan kay tarjman nay aj media kay numaindy ko school ka dora karwaya. wo school jis ka har kamra kal tak abaad tha but aj school kay dar o deevar bain kar rahy hain. har dar o dewaar zakhmi hai. Har taraf  barrod ki boo phailee hai. farsh khoon sa rangeen nazar a raha hai. Bikhra hova saman, basty aur ulti hoi kursiyan bta rahi hain kay yahan wahshat nay gee bhar kay raks kia. School kay auditorium main jahan bachay first a aid ki tarbiyat kay liye jama thay wahan inkay khoon sa holi kheli gai. pahly stage say un masoomo par firing ki gai bad main kursiyoon kay darmiyan main aa kar un pa gooliyan barsai gain. Stage peh mojood teacher ko zinda jala dia gia. yahi ni blky school intzami block aur principal ka kamra jang ka manzar paish kar raha hai. Army tarjuman nay kaha kay us nay bry bary waqiat dakhay hain laikin aise bad treen tareen karwai kabhi nahein dakhi.


Sponsored Link

No comments:

Post a Comment