Thursday 18 December 2014

A Brave Child Who Escaped From Peshawar School

A Brave Child Who Escaped From Peshawar School 


Peshawar school kay sanihy par jitna bhi afsoos kia jay kam hai. Nahty masoom bachoon par is buzdilana aur safakana hamly ki jitne bhi muzamat ki jay kam hai. Lakin afreen hai un bachoon par jinho nay itna dard naak wakia apni ankhoon say daikha phir bhi un kay hoslay chatan ki tarha mazboot hain. Ise tarha ka aik bahadur bacha ziya hai jis ki umar sirf paanch saal hai. Us ny sara wakia apni ankhoon sa dakha. wo byan karta hai keh us wakt school ki classes lag chuki thein jub dahshat gard school main dakhil hoy. Bachy khofzada hoy lakin tamam asatza unhain hosla daity rahy. Dahshat gardoon nay bachoon par goliyan barsani shoro kar dein. jis par wo aur kuch aur talib ilm school main mojod sarung main dakhil ho gay jis ki wajha say wo bach gay jab kay us kay kai sathe talib ilm shaheed hoye. Akhir main yeh bhadur bacha dahshat gardon ko paigam daita hai key dahshat gardon ki goliyan khatam ho jain ge laikin hamary seeny khatam nahein hon gay.


Sponsored Link

No comments:

Post a Comment