Wednesday 17 December 2014

Pakistani Terrorism At The Top of Peshawer

Pakistani Terrorism At The Top of Peshawer

Jub say yeh dunya bani hai aik sa barh kay aik zulm hova hai laiken aj jo zulm peshawar key nanhy bachoon pa dhaya giya uski misal to dunya ma kahein bhi ni milte. Is bhyanak wakiye ki jitne bhi muzamt ki jay kam hai. Aj ky zulm par to asman tak ro para ho ga zameen tak tharra gai ho ge. Pata ni wo kaisay insan hain jo dil rakhtay hoye bhi aisa gair insani kam kar gaye. Aj kitne hi maon  koi godain ujar gain, kitny hi ghar soony ho gay. Pata ni kitny bachy ho ga jo ab bach to gay laikin apni zindagi main kbhi apny paoon par khary ni ho pain ga. kitny bachy apni ankhoon sa dakh ni pain ga, Kitny bachy kon kon c jismani maazoriyoon ka shikar ho jain ga.



16 December 2014 ke subh ko peshawer kay aik school main dehshat gardon nay ghus ker bachon ko or teachers ko yarghamal bana lia. School k 12 gate the jin ma se her gate per aik watch man tayyanat tha. Dehshat gard un ma se aik gate ko torte hoye school main dakhil hoye  aur students or teachers ko yarghaml bnaya Un per golian bersain or yake bad degre  8 bomb blast kiye jis k nateje main 132 studetns or 9 staff ke members shaheed ho gaye. Pori qoam ki duain in maaon k sath ha jin ke bachy abi bhi hospitals ma zakhmi hain. Or pore mulk ki duain un kay sath b hain jin k bachy shaheed ho gaye or dua ha k khuda un saffak dahshtgardon ko kafre kirdar tk pohnchay jinho ne masoom bacho ki jaan li ha.




Sponsored Link

No comments:

Post a Comment