Sunday 21 December 2014

The Video Of Army Public School Peshawar Attack

The Video Of Army Public School Peshawar Attack


Peshawar ka andhoh nak wakia bhulay nahein bhoolta. Masoom bachoon kay is wahshyana katl nay dar o dewar hila diye hain. Pora Pakistan sog ki halt main hai. Yeh Pakistsan ki tareekh ka siyah treen din hai. Nanhy Nanhy phool khilny say pahlay murjha gay. Is zulm ki jitni bhi muzamat ki jay kam hai. Yeh buzli namrdi ki bdtreen misal hai. Yeh videpo us wakt ki hai jub dahshat gardoon nay school par hamla kia. Pak foaj kay jawan apni apni position sanbhal ray hain aur masoom bachay idhr udhr chup kar apni jan bachany ki koshish kar ry hain. Is wahshiyana hamly main 130 say zyada bachy shaheed hoye. Kitny teachrers nay apni jan ka nazrana dia, hatta kay khwateen ko zinda jala dia gya. Is had tak darindge ki misal to shayad kahein bhi na mily. Kitni maaon ki goodain ujar gain akhir unka kia ksoor hai jin kay mukadr main ta hayat ansoo likh diye gay. Aur kia ksoor hai in bachon ka jo zinda to bach gay lakin unhain sari zindage apahaj bn ky guzarni pary ge.


Sponsored Link

No comments:

Post a Comment