A blog about latest entertaining news, funny videos, celebrity scandals and desi scandal. Latest political and public scandal videos.
Showing posts with label New report about Peshawar saniha. Show all posts
Showing posts with label New report about Peshawar saniha. Show all posts
Monday, 22 December 2014
Sunday, 21 December 2014
The Video Of Army Public School Peshawar Attack
The Video Of Army Public School Peshawar Attack
Peshawar ka andhoh nak wakia bhulay nahein bhoolta. Masoom bachoon kay is wahshyana katl nay dar o dewar hila diye hain. Pora Pakistan sog ki halt main hai. Yeh Pakistsan ki tareekh ka siyah treen din hai. Nanhy Nanhy phool khilny say pahlay murjha gay. Is zulm ki jitni bhi muzamat ki jay kam hai. Yeh buzli namrdi ki bdtreen misal hai. Yeh videpo us wakt ki hai jub dahshat gardoon nay school par hamla kia. Pak foaj kay jawan apni apni position sanbhal ray hain aur masoom bachay idhr udhr chup kar apni jan bachany ki koshish kar ry hain. Is wahshiyana hamly main 130 say zyada bachy shaheed hoye. Kitny teachrers nay apni jan ka nazrana dia, hatta kay khwateen ko zinda jala dia gya. Is had tak darindge ki misal to shayad kahein bhi na mily. Kitni maaon ki goodain ujar gain akhir unka kia ksoor hai jin kay mukadr main ta hayat ansoo likh diye gay. Aur kia ksoor hai in bachon ka jo zinda to bach gay lakin unhain sari zindage apahaj bn ky guzarni pary ge.
Friday, 19 December 2014
Reason Of Peshawar Attack In Ameer e Jamaat Taliban View
Reason Of Peshawar Attack In Ameer e Jamaat Taliban View
Tahreek e Taliban nay apnay is zalimana ikdam ko jaiz karar dainy kay liye aik ajeeb mantaq da dali. In badbakhtoon nay apny zulm ko, masoom bachoon kay katal kay liye kaha hai kay yeh bilkul jaiz hai aur hadees sharif kay ain mutabik hai. Tahreek e Taliban kay ameer kharasani ka bayan manzar e aam par aya hai jis main us nay wazahat ki hai kay peshawar kay bachoon ka karl e aam ain islami taalimat kay mutabik hain. Taliban ko bary bachoon kay katal ka kaha gia tha. Qk banu qureza ( aik yahodi kabila) kay bary main bhi yahin kaha gia tha kay in kay un bachoon ko katal kia jay jin kay zeer e naaf baal dakhai dainy lagy hoon. Or is kay saboot kay mutabik sahe bukhri hadis no 148 jild 5 ka hawala dia gia hai.
Jub kay is hadees ki hakikat kuch aur hi hai qk banu quraiza ka faisla to NAbi Kareem saww nay kia hi nahein tha. Yeh to badbakhti the yahod kay sardar ki kay jis na banu kunakaa kay baraks Rasool Allah say faisla karana pasand na farmaya aur Nabi Rahmat ki bajay apnay puranay haleef Saad bin MAaz par aitmad ka izhar kia kay hamain unka har faisla manzoor hai. HAzrat Saad Bin MAaz jo Ghazwa e Khandakmain zahreela teer lagnay say zakhmi ho gay thy aur Allah say dua kar rahy thy kay " Ay Allah mujhy is waqt tak mot na dena jub tak main banu quraiza ki bad ahdi ka anjam apni ankhoon say na dakh loonn". Unhon nay thek toorat kay mutabik jo faisla tha kay ghadar qoamkay jitny kabl e jang log hain katal kar diye jain, nafiz kar dia. Rasool Allah nay tasdeek farmai kay A Saad to nay thek Allah ki kitab kay mutabik faisla kar dia. Jub kay yahood kay dosray kabeely kay motallik Rasool saww nay faisla farmaya kay jis main ijazat di gai kay wo apni jo chez utha sakty hain utha kar shahar say nikal jain. Agar banu nzeer bhi khud ko NAbi kreem saww kay hwaly khud ko kar daity to faisla koi aur hota. Koi bhi kbeela jis nay khud ko Nabi Rahmat saww kay hawaly kia kabhi bi katal nahein kia gia.
Banu quraiza kay is wakiy ko aj tak mulhadeen Rasoollah kay khilaf sawaliya nishan kay tor par paish karty thy. Taliban key is tarjuman nay jo mehmand agency ka mashhoor tareen agent hai jo choori kay motor cycle thikany lagaya karta tha, is nay bhi isko istmal kar kay mulhadeen ka kam aur asann kar dia . Laanat ho is jhoty makkar shakhs par jo Hadees shareef ko apni marzi kay mutabik rang daita hai.
Sponsored Link
Thursday, 18 December 2014
A Brave Child Who Escaped From Peshawar School
A Brave Child Who Escaped From Peshawar School
Peshawar school kay sanihy par jitna bhi afsoos kia jay kam hai. Nahty masoom bachoon par is buzdilana aur safakana hamly ki jitne bhi muzamat ki jay kam hai. Lakin afreen hai un bachoon par jinho nay itna dard naak wakia apni ankhoon say daikha phir bhi un kay hoslay chatan ki tarha mazboot hain. Ise tarha ka aik bahadur bacha ziya hai jis ki umar sirf paanch saal hai. Us ny sara wakia apni ankhoon sa dakha. wo byan karta hai keh us wakt school ki classes lag chuki thein jub dahshat gard school main dakhil hoy. Bachy khofzada hoy lakin tamam asatza unhain hosla daity rahy. Dahshat gardoon nay bachoon par goliyan barsani shoro kar dein. jis par wo aur kuch aur talib ilm school main mojod sarung main dakhil ho gay jis ki wajha say wo bach gay jab kay us kay kai sathe talib ilm shaheed hoye. Akhir main yeh bhadur bacha dahshat gardon ko paigam daita hai key dahshat gardon ki goliyan khatam ho jain ge laikin hamary seeny khatam nahein hon gay.
Subscribe to:
Posts (Atom)






