Showing posts with label School situation after saniha peshawar online. Show all posts
Showing posts with label School situation after saniha peshawar online. Show all posts

Sunday, 21 December 2014

Last Words of Principal Tahira Qazi In Peshawar Attack

Last Words of Principal Tahira Qazi In Peshawar Attack



Peshwar school hamla to jaisy Pakistan kay mustaqbil par hamla hai. Hamary nanhy phoolon ko bedardi say masl dia gia. Peshawar school hamly main jahan bachoon ki qurbani bhulai nahein ja skti wahein teachers ki shahadat bhi khiraj e tahseen kay qabil hai. safaki ka nishana banny walon main asatza aur principal bhi shamil hain. Army school ki principal aik nihayat bahadur aurat thein. School hamlay kay waqt woh apny fraiz anjam dainay main masroof thein. Principal Tahira Qazi apnay fraiz anjam daity hovy jaan sa chali gain. Taira Qazi kay bety kay byan kay mutabik hamly kay waqt un kay akhri alfaz use nay suny jub wo apny bety sa kh ri thein kay tum phone bnd karo main nay bachoon kay waldain ko inform karna hai. Is akhri waqt main wo zra bhi na shmi aur bachoon ko bachany ki koshish karty karty shaheed ho gain. Wo intahai mehnti, Qabil aur bhadur khatoon thein. Inka is dunya say jana na sirf school blky qoam ka nuksan hai. 
Principal Tahira Qazi ko un kay abai ilaqy main supurd e khak kia gia. Hazaroon logon ki ahain aur siskiyan main unhain dafn kia gia. Is hadsy nay buht gahry asrat chory hain jinhain mitana sallon tak mumkin na ho ga. Dua hai kay hamary masoom bachoon aur asatza ki yeh qurbani raigan na jay. Allah aisy rasty khol day krh in dahshat gardon kay har thikany ka soragh mil jay aur Pak sarzmeen say yeh napak wajood hmaisha kay liye nist o nabood ho jain. Aameen
Sponsored Link

The Video Of Army Public School Peshawar Attack

The Video Of Army Public School Peshawar Attack


Peshawar ka andhoh nak wakia bhulay nahein bhoolta. Masoom bachoon kay is wahshyana katl nay dar o dewar hila diye hain. Pora Pakistan sog ki halt main hai. Yeh Pakistsan ki tareekh ka siyah treen din hai. Nanhy Nanhy phool khilny say pahlay murjha gay. Is zulm ki jitni bhi muzamat ki jay kam hai. Yeh buzli namrdi ki bdtreen misal hai. Yeh videpo us wakt ki hai jub dahshat gardoon nay school par hamla kia. Pak foaj kay jawan apni apni position sanbhal ray hain aur masoom bachay idhr udhr chup kar apni jan bachany ki koshish kar ry hain. Is wahshiyana hamly main 130 say zyada bachy shaheed hoye. Kitny teachrers nay apni jan ka nazrana dia, hatta kay khwateen ko zinda jala dia gya. Is had tak darindge ki misal to shayad kahein bhi na mily. Kitni maaon ki goodain ujar gain akhir unka kia ksoor hai jin kay mukadr main ta hayat ansoo likh diye gay. Aur kia ksoor hai in bachon ka jo zinda to bach gay lakin unhain sari zindage apahaj bn ky guzarni pary ge.


Sponsored Link

Thursday, 18 December 2014

After Saniha Peshawar The worst Situation of School

After Saniha Peshawar The worst Situation of School


Afwaj e Pakistan kay tarjman nay aj media kay numaindy ko school ka dora karwaya. wo school jis ka har kamra kal tak abaad tha but aj school kay dar o deevar bain kar rahy hain. har dar o dewaar zakhmi hai. Har taraf  barrod ki boo phailee hai. farsh khoon sa rangeen nazar a raha hai. Bikhra hova saman, basty aur ulti hoi kursiyan bta rahi hain kay yahan wahshat nay gee bhar kay raks kia. School kay auditorium main jahan bachay first a aid ki tarbiyat kay liye jama thay wahan inkay khoon sa holi kheli gai. pahly stage say un masoomo par firing ki gai bad main kursiyoon kay darmiyan main aa kar un pa gooliyan barsai gain. Stage peh mojood teacher ko zinda jala dia gia. yahi ni blky school intzami block aur principal ka kamra jang ka manzar paish kar raha hai. Army tarjuman nay kaha kay us nay bry bary waqiat dakhay hain laikin aise bad treen tareen karwai kabhi nahein dakhi.


Sponsored Link