Wednesday, 28 January 2015

Father Daughter Wedding Dance In Free Style

Father Daughter Wedding Dance In Free Style



London main aik shadi ki taqreeb main bap aur beti kay dance nay sub ko heran kar dia. Yeh taqreeb aik hotek main munaqid ki gai the. Is hairat ki wajah yeh the kay yeh dance koi rawayti shadi dance nahein tha balky unhon nay fast music per free style main dance kia. Yon lag raha tha donon free style dance ko buhat enjoy kar rahy hain, Aur hotel main mojod mahmanon nay inhin daikh kar buhat lutf uthaya.

London kay five star hotel main aik maroof businessman nay apni beti ki shadi ki taqreeb ka inaaqad kia. London ki jani mani hastiyon ko is taqreeb main madu kia gia. Shoro main taqreeb aam andaz main jari rahi. Halka phulka music chalta raha. Mahman khany aur drink say khoob lutf utha rahy thy. Thek do ghantoon bad dulhan apna shadi ka libas tabdeel kar ai aur apnay bap kay sath taqreeb main beti aur bap kay dance ka ailan kia. Sub nay socha kay yeh aik rawayti kism ka dance ho ga. Dulhan kay bap nay gana pahlay say muntakhib kar kay rakha tha. Sub us waqt hairat main mubtla ho gay jub fast music peh free style dance perform kia jany laga. 55 salah bap Ralph aur beti TAshawn nay zabrdast show paish kia aur daikhnay walon ko khoob enjoy karwaya. Fast music nay jaisy bap beti main energy barha di the woh dair tak nachty rahy. Yon lag raha tha jaisy dono hi free style dance aur rock and roll music kay deewany hain. Bap nay pahly hi gana muntakhib kia aur dulhan ko libas badlnay ka ishara kia. Dulhan nay bhi time na lagaya aur libas bdal kar foran wapis ai jaisy woh bhi ise lamhy ki muntazir ho. Bap bete kay is dance nay London hotel ka mahol kafi khushgwar kr dia. Rawayat say hat kay bap beti ka yeh dance diakhnay walon ki yaddaaht main hmaisha kay liye mehfooz ho gia.


Sponsored Link

Tuesday, 27 January 2015

Bare Leg Women Disturbed The People Of Kabul

Bare Leg Women Disturbed The People Of Kabul


Islami rayastoon main khawateen apnay purwaqar libas ki wajah say hi pahchani jati hain. Un kay libas ko daikh kar hi andaza ho jata hai kay yeh muslman khatoon hai. Buhat say islami mumalik main to pardy kay bghair khawateen ko bahir niklnay ki ijazat nahein hai. In mumalik main saodi arabia, Afghanistan, Iran khas tor per kabl e zikar hain. In mumalik main khawateen ka bghair naqab kiye bahir niklnay ka tasawar bhi nahein hai. 
Laikin aisay main jahan aurat ko hmaisha burqay aur naqab main dikha giya ho wahan agr koi adha libas pahn kay nikl aye to jhatka to lagy ga hi. 
Ise tarha ka aik waqia Kabul main paish aya jahan aik khatoon nangi tangon kay sath sark peh nikl ai. Yeh khatoon maghrbi tarz per adhi tangon tak libas zaib tan kiye hoye gali main nikal ai. Isay diakhany kay liye traific ruk gai. mazkoora namaloom khatoon nay adhy jism per coat aur arghwani rang ki jurabain pahn rakhi thein. Uska sar bhi dhaka hova nahein tha. WOh ghoorty hovay logon ko nazar andaz karti hoi agy barh gai.Aik maqami sahafi nay bataya kay woh yeh soorat e hal daikh kar heran tha, Is say pahly Afghanistan main aise koi khatoon nahein dakhi gai. Yahan khawateen ka mukamal jism aur chahra bhi dhanpa hota hai. Unhon nay bataya kay khatoon say baat karnay ki koshish ki gai laikin woh bghair baat kiye tezi say agy barh gai. Ibtdai tor par khatoon ki shanakht ya thikana maloom na ho saka. Taham tasaveer say andaza lagaya ja sakta hai kay woh koi ghair mulki ho sakti hai. 



Sponsored Link

Bilawal Bhutto Zardari will Join The indian Film Industry

Bilawal Bhutto Zardari will Join The indian Film Industry




Bilawal Bhutto Zardari jo kay Pakistan Peoples Party kay chairmain hain aur Pakistan ki aik ahm siyasi shakhsiyat hain. Ktreena kaif kay mutabq Bilawal Bhutto Zardari ab indian film Fitoor kay hero hon gay. Chonk gay na ap? zayada hairan mat hon keo kay woh asal Bilawal nahein balkay bharti adakar Rahol bhat hon gay. Jo is film main hobaho BIlawal kay roop main nazar ain gay. Film main heroin ka kirdar Katreena Kaif ada karain ge. Yeh bat bharti film fitoor ki ho ri hay. Yeh film is sal kay akhri maheeny main rleez ho gi. Is film ko Abhishak Kapoor direct kar rahy hain. Media report kay mutabiq Is film ki kahani Pakistani nojwan siyasatdan kay gird ghoom rahi hai. Yeh nojwan taqatwar siyasi khandan say taluq rakhta hai. Yani kay taqreeban yeh sari film bilawal bhutto per hi banai gai hai. Zarai kay mutabiq Rahol Bhat ka naam Bilawal ki bajay Bilal ho ga. Taham in ki dressing aur look bilkul Bilawal Bhutto ki tarha ho gi. Kaha jata hai kay is film ki kahani kafi had tak Bilawal Bhutto ko focus krti hai. Isi ko base bna kar film  ki kahani bnai gai hai. Bilal nami is nojwan ki siyasi maqam hasil krny kay liye koshish aur isy barqrar rakhnay kay liye mehnat ko dikhaya gya hai. Zarai kay mutabiq film ki story kafi jandar hai aur umeed ki ja rahi hai kay yeh block bustur sabit ho gi. Ktreena Kaif bhi apni any wali is film kay liye kafi purjosh hain. Unka kahna hai kay unhain mehsoos ho raha hai jaisy haqeeqat main woh Bilawal Bhutto kay sath hi kam kr rahi hain. Aur Rahol Bhat ki bjay Bilawal hi in kay hero hain. Un kay bayan say bakhobi andaza hota hai kay woh is film kay liye kafi purjosh hain. Film main Rahol Bhat kis had tak Bilawal jaisy lgty hain yeh to film any kay bad hi pta chly ga.  



Sponsored Link