Saturday, 14 February 2015

Dangerous road crossing video

Dangerous road crossing video



Dunya main mukhtalif qisam kay log rahty hain. Jo mukhtalif qisam ki adat o itwar kay malik hoty hain. Kuch log aman pasand aur sanjeeda tabiat kay malik hoty hain jub kay kuch buhat adventurous aur mehfil pasand hoty hain. Jo log adventurous hoty hain un per har waqt kuch naya karnay ka janoon sawar rahta hai. Woh hamaisha kuch aisa karna chahty hain jis say woh logon ko hairan kar kay dad wasool kar sakain. inhain khatron kay khilari bhi kaha ja sakta hai. In logon ko khatron say khailnay ki adat hoti hai. Kuch kar guzarnay kay shoq main yeh log apni jan ki bhi parwah nahein karty. 
Woh aisay aisay khatry mol laity hain kay insan daikh kar preshan ho jata hai. Daikhnay waly preshan ho jaty hain laikin inahain dar nahein lagta. Aisa hi kuch mamla is video main bhi hai. Is video main kuch aisay hi adventurous larkay hain jinhain kuch kar guzarnay kay shoq main apni jan ki bhi parwah nahein hai. Yeh log aik aisay rasty main khary hain jahan gariyon ki race ho rahi hoti hai. Woh log is qadar masroof sarak ko cross karnay ki koshish karty hain. Bus do second kay faraq say gari a jati hai woh bhi bjli ki si taizi say. Aan ki aan main woh log sarak cross kar jaty hain. Wahan mojod logon ki chekhain hi nikal jati hain. laikin woh bal bal bach jaty hain. unko zara bhi khof mehsoos nahein hota. Woh is adventure ko buhat enjoy karty hain. 



Sponsored Link

Mockery Case Registered Against Bollywood Actor And Actresses

 Mockery Case Registered Against Bollywood Actor And Actresses


Bollywood fankaron kay khilaf aik comedy show main shirkat karnay aur behoda mazaq 
karnay kay khilaf muqadma darj kar liya giay hai. Film star Arjan Kapoor, Ranveer singh, 
Dipica padukon, aur film producer Karan Johar smait video shairing website u tube kay 
khilaf muqadma darj kia gia hai. Indian akhbar express ki report kay mutabiq bollywood 
ki 14 shakhsiyat kay khilaf AIB aik programm main shirkat aur khulay aam nazaiba mazaq 
karnay ka ilzam lagaya gia hai. AIB kay muntazmeen main Tanmay Bhat, Rohan joshi, Ashish 
shkiya aur Garsmeeran Khmba shamil hain. Is programm main bollywood fankaron nay aik 
dosray kay bary main fahsh mazaq aur nazeeba ilfaz istmaal kiye. Muqadmay main Dapika 
Padukon, Sonakshi Sinha, Ranveer singh, Karan johar aur Sanjay Kapoor smait bollywood ki 
chand aham shakhsiyat ko bhi fareeq banaya giya hai, Jo is programm main shreek thay. 
Bollywood fankaron kay khilaf muqadma awami maqamat per fahsh mawad ki tarseel kay ilzam 
main indian penal code ki dafaat 292 aur 294 kay taht darj kia gia. Dosri janib mazhabi 
jazbat ko barhkanay kay hawaly say bhi show kay khilaf Mumbai main daiger do muqadmat 
darj kiye gaye hain. CID inspector ki janib say karwai gai FIR kay mulziman ko 5 say 10 
saal qaid kay sath sath bhari jurmany ki saza bhi ho sakti hai. Is say pahlay 
maharashter hakoomat nay show kay hawaly say qanooni karwai ka hukm dia tha



Sponsored Link

Bollywood New Movie On Benazeer Bhutto's Life

Bollywood New Movie On Benazeer Bhutto's Life


Aj kal yeh khabr aam hai kay india mian Pakistan ki sabiq wazeer e azam muhtaram 
Benazeer Bhutto per film banai aj rahi hai. Is say yeh andaza hota hai kay Indai waly 
bhi Benazeer bhutto say had darja impress hain. Ise wajah say woh apnay kise siyasi 
leader ki bajay Pakistan ki siyasi leader per film baan rahy hain. Ab story kia ho gi is 
main kitni haqeeqat kitna afsana ho ga. yeh to film anay kay baad hi pata chaly ga. Is 
hawaly say yeh khabar bhi aam hai kay Benazeer Bhutto ka kirdar vidya Balan nibha rahi 
hain. Laikin Vidya Balan is hawaly say kahti hain kay buhat si aham shakhsiyat ki 
zindagiyon per banny wali filmon main unhain kamkarnay ki offers hoi hain laikin abhi 
tak unhon nay is bary main koi faisla nahein kia.
Bharti media kay mutabiq Vidya Balan ka kahna hai kay Benazeer Bhutto ki zindagi per 
banny wali film main un kay kam karnay kay hawaly say woh lailm hain. unka kahna hai kay 
abhi tak unhon nay koi hatmi faisla nahein kia, Lahaza is bary main abhi kuch nahein kah 
sakti. Laikin bharti medai main abhi bhi yeh khabrain zair e gardish hain kay woh 
banazeer Bhutto per banny wali film main kam kar rahi hain. Ab haqeeqat kia hai chand 
din main sub kay samnay a hi jaye gi. 


Sponsored Link