Showing posts with label Bolywood new scandal video. Show all posts
Showing posts with label Bolywood new scandal video. Show all posts

Sunday, 8 February 2015

Insult Of Sharukh Khan By Neil Nitan Mukaish

Insult Of Sharukh Khan By Neil Nitan Mukaish



Shah rukh khan aur Saif Ali Khan donon bollywood ki jani mani hastiyan hain. Donon nay bolywood main buhat naam kamaya hai. Unki taqreeban har film hi hit hoti hai. Har award show aur har mega event main inki shamoliyat ko zaroori samjha jata hai. Yani kay jo bhi programm hit karna ho is main in ko shamil kar liya jata hai. Laikin jitnay mashhoor admi itnay hi rask bhi. Keo kay in kay sath piash anay wala zara sa waqia sari dunya main jangal ki aag ki tarha phail jata hai. Jis tarha is video main ap daikh saktay hain. Yeh video kise programm ki hai jisy Saif aur Shahrukh donon host kar rahy hain. Programm ko sub buhat enjoy kar rahy thay. Is main bollywood kay tamam manjhay hovay fankar aye hovay thay. Woh donon mukhtalif fankaron say sawalat kar rahy thay. Hansi mazaq ka dor dora tha. Ise doran unhon nay Neil Niten Mukaish ko khara kia aur by joke un say poocha kay un kay poory naam main sar name kon sa hai. Neil ko yeh sawal buhat nagwar guzra. Us nay zara bhi mehfil aur hazreen ka khayal nahein kia aur jhat say saf saf kah dia kay us ka bap bhi yahan mojod hai, usay yeh sawal buhat bura laga hai. Us nay mazeed kaha kay usay sar name ka sahara lainay ki zaroorat nahein woh apni mehnat say apna naam kama sakta hai apni pahchan bana sakta hai. Us nay apni bat jari rakhtay hovay akhir main Saif aur shahrukh ki mazeed insult karty hovay kaha kay ap logon kay is sawal kay jawab main main ap say sirf itna kahon ga kay bakwas band karo. Neil kay is lahjay aur bat per sub hazreen e mehfil dhang rah gaye.



Sponsored Link

Thursday, 29 January 2015

Sushmita Sen Recite Sorah Al-Asr

Sushmita Sen Recite Sorah Al-Asr


Ise sal main buhat say waqiat aisay daikhnay main aye hain kay kai ghair muslim skoon ki talash main rah e hidayat per aye aur unhon nay islam qbool kia. HAl hi main Imitbh Bachan ki khabr buht gardish min the kay unhain skoon ki talash hai. Aur skoon ki talash main unhon nay Quran Pak seekha aur parhna shoro kia. Unhon nay is bat ka aitraf kia kay unhain Quran pak parhnay say waqie zahni aur dili skoon naseeb hova hai. 
Ab un ky bad Sushmita sen kay bary main yeh inkshaf hova hai kay unhon nay Quran Pak seekha hai. Sushmita Sen india ki maroof actress hain. Unhon nay qabl e zikr shuhrat kamai hai. Is vide min unhon nay Quran Pak ki sorah al asr ki tilawat ki hai. Unhon nay nihayat khoobsoorati say theek tlafuz kay sath sorah parhi. Jis say na sub dikhnay sunnny waly hairat main mubtla ho gay. Keo kay itna theek Quran parhna koi mamoli bat nahein yeh is bat ka sboot hai kay unhon nay Quran pak baqaida seekha hai. Warn woh is tarh parh nahein sakt thein. Balkay na sirf seekha hai zubani yad bhi kia hai. Tabhi to it ni rawani say unhon nay sorah parh di. Ab dikhna yeh hai kay woh is bat ko kab tasleem karti hain kay woh Quran pak ki taleem hasil kar rahi hain. Ya yeh kay woh islam main dilchaspi lay rahi hain aur usay samjhnay ki koshish kar rahi hain. Agr waqie aisa hai to Allah tala hidayat aur sahi rasta chunny kay liye unka dil zroor khol day aur unhain hidayat naseeb kary.  Aamin



Sponsored Link