Sunday, 1 February 2015

Indian Actress Taboo In Film Haider

Indian Actress Taboo In Film Haider



Indian film industry buhat bri hai. Is main kam karnay waly shohrat aur dolat dono kamaty hain. Kuch to aty hain kuch filmain karty hain aur ghar ko lot jaty hain. Kuch arsa bad log unka naam tak bhool jaty hain. Laikin kuch log aisay hoty hain jo shuhrat ki bulandiyon ko chooty hain aur unka naam hamaisha yad rahta hai. Log unhain un kay achay kam ki wajah say hamaisha yad rakhty hain. Tabo ka naam bhi in logon main shamil hai jinhan in kay achay kaam ki wajah say jana jata hai unhon nay buhat si kamyab filmain ki hain. Aj kal unki nai film "Haider" manzar e aam per anay wali hai. 
Tabo nay is film main muslman larki ka kirdar ada kia hai. Yeh film Kashmir main banai gai hai. Is film main aik seen aisa ata hai jaha Tabo ka nikah parahaya jata hai. Is film main Tabo ka nikah Jamo Kashmir kay imam masjid Ghulam Hassan Shah nay parhaya hai. Laikin molana sahib ko yeh nikah parhana acha khasa mehnga par giya. Jub masjid ki intzamiya ko is bat ki khabr mili kay molana Ghulam Hassan Shah sahib nay is film main rol kia hai to unhon nay is ki shadeed muzamat ki. Itlaat kay mutabiq molvi Ghulam Hassan ko indian film main rol karnay ki padash main masjid ki imamat say bhi farigh kar dia giya hai. Tabo ka nikah to pata nahein is film main kamyab hova kay nahein laikin molana sahib ko to acha khasa nuqsan uthana parh giya. Unki to sari umar ki riyazat per pani phir giya. Ab pata nahein molvi sahib nay film main yeh rol kia soch kar kia tha, Aur unhain is rol ka kitna muavza mila. Laikin khwah jitna bhi mila ho filhal unhain yeh soda khasa mehnga para. Itlaat kay mutabiq molana sahib nay film kay producer ko bhi soort e hal say agah kia hai aur madad ki apeal ki hai. Daikhtay hain kay un kay maslay ki kia hal nikala jata hai. 



Sponsored Link

Sohaib & Mehru Pakistani Best Wedding Highlight 2015

Sohaib & Mehru Pakistani Best Wedding Highlight 2015



Shadi ak bohat he khobsorat rishta ha jis ma do dil ak ho jate hain. Ak aisa rishta jis se nasirf do dil ak hote hain balke do khandan bhi ak ho jate hain. Khuda taallah joore aasmano per banata ha orr kia khoob he banata ha is baat ka andaza Sohaib or mehru ki joori ko dakh ker bakhobi ho jata ha. Dulha bhe riwati andaz ma bohat he khobsort soot ma malboos ha orr dulhan bhe riwayati lehnge ma malboos. Dono ki joori bohat khoob lag rae ha. Tamam rasoomat bhi riwayti tareeqe se seranjaam pae jiss ma dulhan ki dosto orr behno kazno ne bharpoor tareeqe se shamoliat ikhtiar ki orr taqreebb ko bharpoor tareeqe se enjoy kia. Saab logo ne bhar char ker hissa lia dulha dulhan ka photo shoot bhe howa orr dhoodh pilai ki rasm bhe ada ki gae. Akher ma dulhan ki rukhsati quraane majeed ke saye ma ki gae or dheer sare duao ma mehru ko sohaib ke sath rukhsat kia gya. Rukhsati ke dooran dulhan ki ankhe num ho gae ye aik aisa mooka hota ha k ankhe besakhta num ho jati hain keo ke maa baap ka ghar choor ke jana bohat he mushkil or kathin hota ha orr ane wale waqt ki waswase andashy bhe sath lie wo maa baap ke ghar se rukhsat hoti ha.



Sponsored Link

Go Nawaz Go On Pkistani Wedding Song For Dance

Go Nawaz Go On Pkistani Wedding Song For Dance



Aj kal Pakistan ma imaran khan ke sporters nawaz shareef bke lie narry lgane ma ser gram amal hain, Jahan per 2 4 Pti ke sports jama hoe wohe GO Nawaz Go ke naary shru. Galio sarko janhan b akhte hoe wahi p Go nawaz go ki sada buland. Or mazy ki baat to ye ha ke ab shadio ma b PTI ke karkunan ne Go nawaz kehna shru kr dia haan g ab luddi hejamalo ki jagah go nawaz go ki sadae bulnd ho gae jahan logo ne bohat enjoy kia dhool ki thaap ke sath go nawaz go ki sadao per raks kia gya. Ane wale her mehman ke mun per muskurahat aa gae. Hazreen or mezbaan dono ne he go nawaz go ke new gane ko bohaat pasant kia or bohat enjoy kia. Shadi ki shadi or PTi ko sporting b sath sath. Is garma garmi ke mahool ma jahan mulk ke halat kafi ziada khrb hain PTI or non league ki b garma garmi ha tois garma garmi ko bharhane ke lie ab shadio ma b imaraan khan ke sporters peche ni rahe.



Sponsored Link