Sunday 1 February 2015

Indian Actress Taboo In Film Haider

Indian Actress Taboo In Film Haider



Indian film industry buhat bri hai. Is main kam karnay waly shohrat aur dolat dono kamaty hain. Kuch to aty hain kuch filmain karty hain aur ghar ko lot jaty hain. Kuch arsa bad log unka naam tak bhool jaty hain. Laikin kuch log aisay hoty hain jo shuhrat ki bulandiyon ko chooty hain aur unka naam hamaisha yad rahta hai. Log unhain un kay achay kam ki wajah say hamaisha yad rakhty hain. Tabo ka naam bhi in logon main shamil hai jinhan in kay achay kaam ki wajah say jana jata hai unhon nay buhat si kamyab filmain ki hain. Aj kal unki nai film "Haider" manzar e aam per anay wali hai. 
Tabo nay is film main muslman larki ka kirdar ada kia hai. Yeh film Kashmir main banai gai hai. Is film main aik seen aisa ata hai jaha Tabo ka nikah parahaya jata hai. Is film main Tabo ka nikah Jamo Kashmir kay imam masjid Ghulam Hassan Shah nay parhaya hai. Laikin molana sahib ko yeh nikah parhana acha khasa mehnga par giya. Jub masjid ki intzamiya ko is bat ki khabr mili kay molana Ghulam Hassan Shah sahib nay is film main rol kia hai to unhon nay is ki shadeed muzamat ki. Itlaat kay mutabiq molvi Ghulam Hassan ko indian film main rol karnay ki padash main masjid ki imamat say bhi farigh kar dia giya hai. Tabo ka nikah to pata nahein is film main kamyab hova kay nahein laikin molana sahib ko to acha khasa nuqsan uthana parh giya. Unki to sari umar ki riyazat per pani phir giya. Ab pata nahein molvi sahib nay film main yeh rol kia soch kar kia tha, Aur unhain is rol ka kitna muavza mila. Laikin khwah jitna bhi mila ho filhal unhain yeh soda khasa mehnga para. Itlaat kay mutabiq molana sahib nay film kay producer ko bhi soort e hal say agah kia hai aur madad ki apeal ki hai. Daikhtay hain kay un kay maslay ki kia hal nikala jata hai. 



Sponsored Link

No comments:

Post a Comment