Wednesday 11 February 2015

Most Powerful Girls Of The World

Most Powerful Girls Of The World



Khawateen ko hamaisha kamzoor samjha jata hai. Hmaisha unhain buaht lightly liya jata hai. Laikin aj kay dor ki khawateen logon ka yeh nazariya badal rahi hain. Aj kal khawateen aisay aisay karnamy kar rahi hain kay woh mardon kay bas ki bat bhi nahein hai. Ab khawateen kay bazoon main bhi itna hi dam kham nazar ata hai jitna mardon kay bazoon main. Kahwateen har maidan main khwah woh koi bhi ho mardon kay barabar khari hain. Unhon nay har har maidan main mardon ko chellenge kar dia hai. chahy woh maidan khail ka ho ya taleem ka, science ka ho ya engeneiring ka, ghar ka ho bahir ka, Mulk main ho ya beron e mulk har jagah khawateen nay apni kamyabi kay jhandy gary hain. Kai bar to khawateen kay karnamy daikh kar bilkul yaqeen hi nahein ata. Laikin yehi is sadi ka such hai. Ab aurtain sirf zeenat ka saman hi nahien balkay taraqi ka bais bhi hain. Ap ghor karain jo qomain taraqi yafta hain wahan ki auratin mardon kay shana bashana kam karti hain ise liye ye qoomain taraqi kar pati hain. Agar hmain bhi taraqi karni hai to apni aurto ko is traqi ki rah main mardon kay sath gamzan karna hi pary ga. Jin logon ko khawateen ki qabliyat per shak hai woh yeh video zaroor daikahin. Unhain khud ba khud andaza ho jaye ga kay auton main kitni taqat hai. Aur woh kis had tak mardon kay muqabil hain. 



Sponsored Link

No comments:

Post a Comment