Sunday 8 February 2015

Very Imazing Mot Ka Konwa Real Video 2015

Very Imazing Mot Ka Konwa Real Video 2015


Baaz Log adventurs kay itnay shoqeen hoty hain kay unhain apni zindagi ki bhi parwah nahien hoti. Log har waqt kuch naya karnay naya dikhanay, Dosron ko hairan karnay aur apni qabliyat ka loha manwanay kay chakr main mukhtalif kam karty hain. Kuch log koi anokhi chez bana kar dosron ki tawajah hasil karnay ki koshish karty hain to kuch log koi anokha kam kar kay. AP nay aksar saikah ho ga log bari bari chotiyan sar karty hain, Janglon main baseera karty hain, kabhi bike kay ajeeb kartab aijad kartay hain, Aur kabhi is bhi kuch ajeeb jaisay kay ap is video main daikh hain kay kaisay is shakhs nay apna naam banany ki khatir apni jan tak dao per laga di. Is nay to pagal pan ki intha hi kar di. Is shakhs nay itnay gahray konway kay kinaron per Bike ko itni taiz raftari say chalya kay daikhnay waly ankh jhapakna hi bhool gaye. Dil yeh soch kar dharakna bhool gia kay zara si ghlti say is shakhs ki zindagi tabah ho sakti hai. Sans to tham hi gai kay agar yeh zara bhi dagmagaya to yeh iski zindagi ka akhri din ho ga. Laikin ise doran is shakhs nay apna karnama sub ko dikha kar mot kay konwain per apna kartab dikha kar farigh bhi ho gia. Ap is video main daikh sakty hain kay is admi kay chahray per bala ka itminan hai usay zara bhi koi ghabrahat ya khof mehsoos nahein hota. Mairay khayal main yeh sub say zayda mushkil aur khatrnaak kartab hai aur isay paish karnay wala waqie main dad ka haqdar hai. Ap bhi video daikhain aur faisla karain. 



Sponsored Link

No comments:

Post a Comment