Friday 6 February 2015

Shahid Afridi Insults Indians Media

Shahid Afridi Insults Indians Media



Shahid afridi kon nahein janta inhain, Nasirf Pakistan dunya bhar main jany many jaty hain. Dunya kay sub say pahlay batsman jinhon nay saub say pahli taiz treen century banai. Inki taiz treen batting ki wajah say hi inhain boom boom afridi bhi kaha jata hai. Inka shumar un logon main hota hai jinhain shuhrat aur izat kamanay kay liye buhat zayada intzar nahein karna parta. Woh jaisay hi cricket ki dunya main aye waisay hi unhon nay apni shandar karkardagi say sari dunya main naam bana liya. Pakistan kay bachon say lay kar boorhon tak in say muhabbat kartay hain. Laikin waqt guzarnay kay sath in ki performance main koi thahrao nahein aya. Un kay bary main yeh bhi kaha jata hai kay unka aitbar koi nahien chal jain to chal jain warna phirteam kitni bhi mushkil main ho woh responsbility nahein nibhaty. Yon lagta hai jaisay woh maro ya mar jao kay maqooly peh amal karty hain. Khas tor per jub mamla pak bharat match ka ho to phir josh o walwala daikhnay say taluq rakhta hai. Laikin guzashta Pak bharat match kay hawaly say Shahid Afridi ko kuch shikayat hain. Unka kahna hai kay Pak Bharat match jub bhi hota hai india waly buhat shidat pasandi ka muzahira karty hain. Aur to aur india ki media bhi buaht shidat aur asbiyat pasandi ka muzahira karti hai. Is bar Indian media nay Pakistani team say jo rawaiya rawa rakha is per unhain shadeed aitraz hai. Keo kay medai ko is tarah ki takleef deh batain aur rawaiya bilkul zaib nahien daita. Shahid afridi ko is kay ilawa bhi indian media say buhat si shikaytain hain janny kay liye video daikhain. 



Sponsored Link

No comments:

Post a Comment