Saturday 7 February 2015

A Woman Tied With Tree For Previous 20 Years In China

A Woman Tied With Tree For Previous 20 Years In China


Duny ka taraqi yafta mulkon ko daikh kar yon lagta hai jaisay yahn har chez bilkul perfect ho gi jaisay yahan kise shakhs kay sath bhi koi issu nahein ho ga. Laikin haqeeqat is kay bilkul baraks hai. Yani door kay dhol suhnay qareeb say sunain to kan hi phatty hain. Aisa hi hal in mumalik ka bhi hai. Yahan ki zindagiyon ko logon kay rahn sahn ko agar qareeb say daikhain to itnay issues samnay aty hain kay damagh chakrany lagta hai. Jis ki aik choti si misal yeh hai kay china kay aik mashhoor ilaqy Nipal main aik larki guzashta bees saal say darakht say bandhi hoi hai. Usay kabhi nahein khola jata. Woh bechari 20 salon say aise hi zindagi ji rahi hai laikin usay azad karwanay wala shayad koi nahein hai.
Tafseelat kay mutabiq Nipal main yeh larki 20 saal pahlay kise accident ki wajah say apna zahni tawazn barqrar na rakh pai. Is nay khud ko hi aziyat daini shoro kar di. Jis ki wajah say is kay ghar walon nay isay darakht kay sath bandh dia. Qanooni tor per to unhain isay mental hospital dakhil karwana chahiye tha ta kay is ka ilaj bhi hota aur khayal bhi laikin unhon nay bajay is aky isy darakht say bandh dia. Us larki kay ghar waly uska wahan khayal rakhty hain aur uski zarooriyat poori karty hain. Laikin is khof say kay woh kahein kise aur ko nuqsan na puhanchaye us kay ghar waly usay darakht say kholy hi nahein aur woh hosh o hawas say begana aurat bghair kise gunah kay hi qaid e tanhai kat rahi hai. Itnay taraqi yafta mulk main aisay waqiat ka hona nihayat ajeeb aur namaqool si lagti hai.



Sponsored Link

No comments:

Post a Comment