Thursday 12 February 2015

Beautiful Dance Video Of Karachi University Girls And Boys

Beautiful Dance Video Of Karachi University Girls And Boys


School, college, Universityan hamary talimi idary hain. Talimi idaron ka maqsad hi burai ka sad e bab karan hai. ALikin agar talimi idary khud hi burai ka gharh ban jain to phir mashry ka kia bany ga. Phir nai nasal jisay anay wali naslon ko tarbiyat daini hai ka kia bany ga jub usay khud hi ghalt drust main tameez nahein ho gi. Yeh sari tameez sari qadrain hum taleemi idaron say hi lay kar nikalty hain. Taleem ka maqsad sir kitabon ko rat laina hi nahein hai. Taleem tahzeeb sikhati hai. Apki shakhsiyat main aisa nikhar lati hai kay daikhna wala daikh kar hi samjh jay kay yeh taleem yafta insan hai. Laikin aj hamary taleemi idaron main jo kuch ho raha hai ye h hamari bad kismati hai. Taleemi idaorn kain saqafti mailon kaynaam per fahashi ki aise aise mehfilain sajai jati hain kay aryani bhi sharma jay. Samjh nahein ata aise raqs o sarood ki mehfilain sajany ki ijazat taleem idaron ki intzamiya kaisay day daiti hai. Akhir yeh baat keo balay taaq rakh di jati hai kay hum aik islami mulk say taluq rakhty hain. Kise bhi mulk kay taleemi idary wahan ki saqaft aur mazhab kay aina dar hoty hai. To is tarha kay show paish kar kay hum apnay kon say mazhab aur tahzeeb ki tarjumani kar rahy hain. Ap is video main hi daikh sakty hain jo kay karachi ki aik university kay annual programm ki hai. Is main larkay aur larkiyan mil kar dance kar rahy hain. Donon is baat say benayaz hain kay is qism kay dance say woh fahashi aur aryani ko dawat day rahy hain. Is kism ka show na sirf is university ki balkay Pakistan aur hamary mazhab ki badnami ka bbais ahin. AP bhi video daikahin aur khud faisla karian kay taleemi idaron ko aisay show aur dance partiyan zaib daiti hain.


Sponsored Link

No comments:

Post a Comment