Tuesday 3 February 2015

Dangerous Tribe Eateth Human Flesh In India

Dangerous Tribe Eateth Human Flesh In India



Hum aj bhi kuch khabrain aise suntay hain jin kay barysay main yeh guman hota hai kay jai yeh aj kay dor main to nahin ho sakta. Aj bhi kai jaghon peh aisay log abad hain jin kaybary main jan kay lagta hai kay yeh aj kay dor sa  nahein rakhtay yeh zamana jahiliyat ki koi kay log hon shayad ya yeh jahliyat kay dor ki kahani bayan ki ja rahi ho. Laikin yeh such hota hai. Dunya main aik aisa qabeela abad hai jisay khatarnak qbeela kaha jata hai. Keo kay yeh insani goosht khata hai. Isay Agoori tribe kahty hain. 
North India main waqia is qabeely ko intahai khatarnak qabeela karar dia gia hai. Is kay bary main Ireland kay aik journalist nay inkshaf kia hai aur us ka kahna hai kay is qabeely kay mutaliq koi nahein janta. Journalist ka kahna hai kay yeh tribe murda logon ka goosht bhi khata hai. Mazeed yeh bhi kaha jata hai kay daryay ganga main jin lashoon ko jalaya nahein jata balkay baha diya jata hai. To is qabeely kay log in lashoon ko nikal kay lay jaty hain inka goosht kahty hain aur hadiyon ki madad say weapons bana laity hain. Is kay ilawa Yeh qabeela zinda logon ko bhi jahan moqa milta hai pakr laity hain aur inhain mar kar apna pait bharty hain. Yeh log pani bhi khopariyon main peety hain. Yani insani jism kay jo aza mumkin hon bartnon kay tor per istmaal karty hain. Is khatrnaak qabeely ka sad bab karnay ki zroorat hai. Daikahin Indian hakoomat is tarf kab dhayan daiti hai.



Sponsored Link

No comments:

Post a Comment