Friday 6 February 2015

Insult of Bollywood Stars By Raju Shrivastav

Insult of Bollywood Stars By Raju Shrivastav



Bollywood main kaha jata hai kay wohi is ka hisa ban sakta hai jo adkari kay sub johar thek thek janta ho. Agar glati say koi is field main a bhi giya to usay jald hi apnay ghar ko lotna para, Woh zayad dair tik nahein paye yahan. Laikin jo tik gaye unhon nay aise shuhrat kamai kay sari dunya main khud ko manwa liya. Film industry say lay kar aj tak lakhon sitaron nay apna naam banaya hai aur abhi tak bana rahy hain. In manjhy hovay khilriyon ki naqali karna ya mazaq urhana buhat mushkil kam hai. Keo mazaq urhanay ya tanz karnay kay liye us shakhs ki kamzoriyon ka pata lagana zaroori hai. Yeh to haqeeqat hai kay koi bhi shakhs khamiyon aur kamzoriyon say pak nahein laikin in ki pahchan karna aur dawy say un baton ko dunya kay samnay mazaq ka nishana banana inthai mushkil kaam hai. Laikin yeh mushkil kam Rajo Shrivastav nay buhat khoobsoorti say anjam dia hai. Ap is video main daikh sakty hain kay bolywood kay manjhy hovay fankaron ki aise dhajiyan urhai hain us nay woh bhi mazah kay indaz main kay agar woh daikh lain to unhain bura bhi na lagy aur awam ki intertainment ka saman bhi ho jaye. Video main mukhtlif fankaron ki jo us nay bemisal naqali ki hai usay daikh kar hansi rokna mumkin nahein rahta. Pori video main us nay aise aise batain itnay mazahiya andaz main paish ki hain kay insan hansi say lot pot ho jata hai. AP bhi video daikhain aur apnay commints dain. 


Sponsored Link

No comments:

Post a Comment