Monday 9 February 2015

shoking accident in Soudi Arebia 2015

shoking accident  in Soudi Arebia 2015



Dunya main buhat say log khatron kay khilari hoty hain. Woh yeh janty hovay bhi kay in kamon main khatra hai woh phir bhi in main hisa laity hain. Yon lagta hai jaisay inhain mot ka koi khof nahein. Aisay log shyad zayada hi bahadur hota hai ya phir shayad inka shoq inhain itna bahadur bana daita hai. Jaisay kay ap is video main daikh sakty hain kay kitnay logon nay ghur sawari ki race main hisa lay rakha hai. koi bees say zayada log ghoron per sawar hain aur apni apni bari kay intzar main hain kay kab unki inkay muqabil say race ki bari ati hai. Woh itnay purjosh aur bechaini say apni bari kay muntazir nazar aty hain. Itnay main aik joray ki bari a jati hai. Dono kay darmiyan muqabla shoro hota hai. Dono apnay ghoray baghanay lagty hain. Laikin race kay chakr main woh agy khari gari ka idrak nahein kar paty ghory bhi andha dhundh baghty hovay gari ki taraf barhty hain. Aik ghora to kamal maharat say is gari ko aboor kar jata hai jub kay dosra ghora nakam ho jata hai. Nakam honay wala ghora gari say itni zor say takrata hai kay qalabszi kha kay gari kay dosri janib ja girta hai ghory ko zabardast chot ati hai aur woh marna kay qareeb ho jata hai. Is kay sath sath ghoray peh sawar shakhs bhi door ja girta hai aur moqy per jan bahaq ho jata hay. Is khatrnaak hadsay ko is video main daikhain.  



Sponsored Link

No comments:

Post a Comment