Saturday 14 February 2015

Pak vs India Another Awesome Fight

Pak vs India Another Awesome Fight


World cup ka aj tak intzar tha laikin aj yeh intzar khatm ho gia. Dunya bhar kay logon ko in dinon ka shidat say intzar tha. Aur in sub main sunday ka intazar aur bhi shidat say kia ja raha hai. Pakistan aur India kay match ka intzar hamaisha say buhat zayada kia jata hai. In donon mumalik ko rawayti hareef kay tor per jana jata hai. Pakistan aur India kay log crazy ho kar match daikhty hain. Is kay liye buhat josh o khrosh ka muzahira kia jata hai. Aur is bar to is match kay liye zayada intzar ki zahmat bhi nahein uthani pari. World cup ka dosra match hi Pakistan India ka hai. Is silsaly main donon mulkon kay awam buhat besabri say muntazir hain. PAk bharat match kay hawaly say mukhtalif videos chalai ja rahi hain. Cartoons peh janwaron tak peh videos banai ja rahi hain. Donon mulkon kay TV channels tabsary chala rahy hain. Har koi mukhtalif views da raha hai. Koi Pakistan ko jata raha hai to koi Bharat ko. Ab nateja kia nikly ga yeh to kal hi pata chaly ga. Yahan per jo video post ki hai woh bhi ise match kay hawaly say hai. AP bhi vidoe daikhain aur Pak India match say pahly match ka maza uthain.



Sponsored Link

No comments:

Post a Comment