Wednesday 11 February 2015

How Girls look Beautiful In Hajab

How Girls look Beautiful In Hajab


Islam main to aurat ka matlab hi chupi hoi cheez kay hain. Laikin yeh hamari badkismati hai kay u nay aurat ka mafhoom hi badal dia hai. Ab aurat just aik entertainment ka saman hai. Izat kay qabil sirf un aurton ko samjha jata hai jo hamary ghar ka hisa hain . Jo hamari main, bahnain ya baitiyan hain. Is kay ilawa dosri aurton ko izat daina ya izat kay laiq samjhna shayad aj kal mardangi ki toheen hai. Kasoor sirf mardon ka hi to nahien hai. Aurton nay bhi to fashion kay naam per khud ko aik saji ajai dukan bana liya hai. Aise dukano ko keon koi izat say daikhay ga. Jub hum khud apny aurat hanay ki izat nahein nibha rahein. Apni naswaniyat ki khud hi toheen karti phirti hain to kise ko kia pari hai kay hamain izat daity phirain. Tang kapray pahn kar, chahron peh make up ka singhar kar kay balon ko bkhair kay dopaty say benayaz aurtain to khud ayashi behayai aur begharti ko dawat daiti hain. Aisay main kise ko kia museebat hai kay inka ahtram karty phirain. Pakistan ki tanazli ki sub say bari wajah hi main khwateen ki is berahrawi ko samjhti hon keo kay unhon nay mardon ko khud main masroof kar kay rakha hai, Unhain yeh saji sajai khawateen daikhnay say fursat mily to woh mulk o qom ki taraqi kay liye kuch sochain kuch karain. Rahi sahi kasar social media nay pori kar di hai jahan uryaniyat aur fahashi kay ilawa dikhaya hi kia jata hai agar kuch aur dikhaya jata bhi hai toisay daikhta hi kon hai. yahan bhi aurton ka hi raj hai yahi aik issue bacha hai jisay discus kia ja sakay ya dikhaya ja saky. Agar Pakistan ki halat sudharni hai to sub say pahlay hamain apni khawateen ki islah karni ho gi. Nechay di gai video ka maqsad hi yahi hai kay ap daikhain yeh khawateen hijab main kitni muatbar aur qabl e izat lagti hain. Inhain daikh kar dil say respect ki feelings ati hain na kay masti ki. Agar ap chahty hain kay ap ki ghar ki khawateen ki bahir bhi sub izat karain to inhain hijab ki adat dalain. Mashray ko sudharan hai to shoroat apnay ghar say karain.  


Sponsored Link

No comments:

Post a Comment