Saturday 7 February 2015

Funny Pathan Old Man Dance Video

Funny Pathan Old Man Dance Video


MAzah aik his ka naam hai jis main yeh his pai jati hai woh khud ba khood hansany hansanay ka bais banta hai. Mazah ka taluq umar say bhi nahein hai agar kise main yeh his mojod hai to khawah woh kitna hi bodhah keo na ho jay woh mazaq say baz nahein aye ga. Balaky yoon kahiye kay his e mazah usay uksay gi kuch aisa karnay ya kahnay per jis say log lutf utha sakain. Dosray lafzon main isay zinda dili bhi kahtay hain. Aur zinda dili Allah ki taraf say aik tuhfa hoti hai. Har shakhs main nahein pai jati. Keo kay har koi alag alag adat o itwar ka malik hota hai. kabhi kuch jawan log bhi khmosh taba aur sanjeeda mizaj hotay hain aur kabhi koi budhapay main bhi buhat khuly dil ka batooni aur his e mazah ka himil hota hai. Jaisay kay is video main aik shakhs hai. Yon lagta hai jaisay iski umar 70 saal say bhi upar hi ho gi. Usay daikh kay lagta hi nahein kay woh hil bhi sakta hai. Laikin is video main ap daikh sakty hain kay us nay dance karnay ki intha hi kar di hai. Us nay itny josh o khrosh say dance kia hai kay jawan bhi sharma jain.  Us ka walwla aur zinda dili daikhnay say taluq rakhti hai. Is ka dance daikh kar aik kism ki himt aur hosla hota hai kay agar yeh is umar main itna josh o khrosh apnay andar jaga sakta hai to hum keo nahein. yaqeenan is old man ka yeh josh sirf dance tak mehdood nahein raha ho ga us nay apni zindagi ka har kam aur har lamha aisay hi jazbay say kata ho ga. Hamain is shkhas kay jazbay say positive asar laina chahiye. Aur apni zindagiyon main bhi boriyat aur kahli kay bajay hosla aur josh paida karna chahiye.



Sponsored Link

No comments:

Post a Comment