Monday 9 February 2015

Indian Secret Intelegence Agency Make Catastrophics Plane against Pakistan

Indian Secret Intelegence Agency Make Catastrophics Plane against Pakistan



Pakistan main aj kal jo halat chal rahy hain woh hum sub kay samnay hai. Siyasatdan mulk kay bary main sochnay ki bajay apas main uljhnay main masroof hain. Tamam siyasatdanon ko agar fikr hai to sirf is baat ki kay mazeed paisa kaisay akhta kia jaye. Mulk ko aur kaaisay loota jay, Awam ki khal kaisay utari jaye, Kis kis ko kon say ilaqy milain, Kis ilaqy say kitna faida laina hai. Kise ko bhi Pakistan, awam ya mulk say koi gharz nahein hai. Dushman musalsal is bat ka faida uthanay main masroof hay.  mulk main dahshat gardi ka koi waqia ho jata hai kabhi dosra. Kabhi kahein dhanga fasad ho raha hai aur kabhi kahein. Awam preshan hain, unhain shayad kuch samjh nahein araha hai.
Idhar nai khabar yeh mili hai kay hamara azli dushman bharat nay Pakistan kay khilaf buhat tabah kun plan tayar kia hai jis kay nateejay main Pakistan ko buhat kahtarnaak nataij bhugatnay parain gay. Tafseelat kay mutabiq Bharat ki khufya egency nay yeh mansooba banaya hai kay Bharat kay kise hasas ilaqy main hamla karwaya jaye ga yani kay khatarnak kism ka bomb blost kia jay ga jis main zayada say zayada nuqsan kia ja saky aur phir is ki zima dari Pakistan kay sar dal di jaye gi. India kay Nerinder moodi nay pahlay hi is bary main bayan day dia hai kay agar ab Pakistan ki taraf say hamary mulk main koi hamla kia gia to hum is ka jawab kise aur tarha hi dain gay. Yani woh is hamlay kay liye zubani tyari bhi kar rahy hain. Hamary hukmran pata nahein kab nend say jagain gay. Pata nahien Pakistan ki baqa kay liye inka zameer kab jagy ga. Mazeed tafseelat kay liye video daikhain.


Sponsored Link

No comments:

Post a Comment