Wednesday 18 February 2015

Annie Pakistani Singer Insulted Pakistani Flag

Annie Pakistani Singer Insulted Pakistani Flag



Pakistani singer Anie jo kay apnay gany mahiya ki wajah say pahchani jati hai. Usay apnay is ganay ki wajah say na sirf Pakistan balky poori dunya main shuhrat mili. Mahiya poori duny main pasand kia giya. Anie kay kai interviews a chukay hain jis main woh Pakistan aky sath apni lazwal muhabbat ka dawa karti hain. Woh kahti hain kay woh aik sachi muhib e watn hain. Laikin yh video jo yhan post ki hai. Isay daikh kay aisa hargiz nahein lagta. Video daikh kar lagta hai kay in kay qol o fail main tazad hai. Yon lagta hai jaisay Pakistan say muhabbat ka dawa inka bilkul booda aur jhoota hai. Jaisay woh bhi in munafiq logon main shamil hain jo kahty kuch aur karty kuch aur hain. Inhon nay is video main Pakistani flag apnay dress per shayad aqeedatan banway hain laikin Pakistan say inki aqeedat hi nirali hai. Inhon Pak jhnady banway to hain laikin apni shirt per nahein dopaty per nahein balkay apnay trousers per woh bhi theek paon ki jagah per. Pakistani jhanday ki itni behurmati karty hovay unhon nay aik bar bhi nahein socha. Woh jhanda jisay log apni jan say zayada qeemti samajhty hain jisay sar say bhi zayad buland kia jata hai us jhanday ko inhon nay apnay paon main rol dia. Wah Anie ji apko to muhib e watan to door Pakistani kahty hovay bhi sharm a rahi hai. 


Sponsored Link

No comments:

Post a Comment