Saturday 7 February 2015

Mian Nawaz Shaeef Funny Video Leaked

Mian Nawaz Shaeef Funny Video Leaked


Nawaz Shareef sahib hamary mulk Pakistan kay prime minister hain. Jub unhon nay election jeetna tha tab unki taqreerain sunnay wali thein. In taqreeron main jo wady aur dawy kiye woh bhi sunehri haroof main likhnay kay qabil hain. Laikin jaisay hi unhon nay election jeeta to unhon nay tipical sayasatdanon ki tarha "to kon main kon" kay mqooly per amal kia. Na ghurbat main kami ia balkay mazeed barh gai, Mehngai ka jin mazeed taqatwar ho gia,Bijli ka masla jon ka toon raha, Pani khorak gas gharz Pakistan kay jitnay bhi masail thay woh sub waisay kay wiasay hi hain. Sary waady sary daawy dhary kay dhary rah gaye. Awam bechari nay Zardari say jan churai to Nawaz Shareef main ja phansi. Awam roz roz kay masail say tang a chuki hia laikin koi inka pursan e haal nahein hai. Pata nahein jub yeh hamary masail hal nahein kar sakty to phir aas keo dilaty hain. Keo awam kay jazbat kay sath is tarha say khaila jata hai. Keo awam kay dard ko apna dard nahien samjha jata. Awam ahtjaj kar kar kay baith jati hai. Koe inka pursan haal koi nahein, keo sub panay mafadat ki siyasat kartay hain. Jub awam aur kuch nahein kar pati to in kay funny cartoons bana kar in ko ahsas dilanay aur apna ghusa thanda karnay ki koshish kartay hain. Is video main bhi Nawaz shareef kay banay hovay mukhtlif tasveerain hain jin main awam ka gam o ghusa saf dikhai daita hai. In fotage kay zariye hakoomat tak paigaam puhanchanay ki koshish ki hai mazhiya andaz main. Kash hakoomat kise chez say hi sabaq seekhay aur awam ki bahtri kay liye kaam kary. 



Sponsored Link

1 comment: