Friday 6 February 2015

Bollywood Actress Latest Catwalk With Salman Khan

Bollywood Actress Latest Catwalk With Salman Khan



Salman khan jinhon nay bolywood main apnay naam ka sika jamaya hai. Jin ki shuhrat kay charchy poori dunya main hain. Un kay fan hazaron main nahein karooron main hain. Salman khan ki shaz o nadir hi koi film aise hoti ho gi jo hit na ho.Har rol un peh jacht hai. Ya yon kahiye kay har rol hi woh nihayat imandari say nibhaty hain. Khawah comedy character ho kahwah serious acting har kardar main woh yon lagty hain jaisay in say bahter koi kar hi nahein sakta tha. Laikin itni shuhrat kay bawajood woh abhi tak kanwary hain. Unhon nay shadi karwai hi nahein. Ab is kay peechy kia wajah ahi kabhi unhon nay iski wazahat nahein ki albata aye din un kay nit naye scandals zroor samany aty rahty hain. Agr yeh kaha jay kay taqreeban tamam mashhoor actresses kay sath un kay afairs mashhoor ho chukay hain. Ab unhon nay aik chairity show main hisa liya jis main taqreeban bolly wood ki tamam top actresses mojod then jin main Katreena Kaif, Rani mukharji, Kareena kapoor, Krishma kapoor wghiara shamil hain. Un sub nay is show main khoobsoorat catwalk paish kia. Jub kay in sub titliyon kay darmiyan Salman Kahn akailay hi raja indar banay hovay thay. Is rangon aur titliyon kay hajoom main say shayad is bar hi Khan sahib kay dil ko koi cho jaye aur woh apna gar basa lain. Un kay fans to unki shadi ki news sunny ko hi taras gaye hain. 



Sponsored Link

No comments:

Post a Comment