Thursday 12 February 2015

Amazing Baby Dance 2015

Amazing Baby Dance 2015


bachy kisay pasand nahein hain. Bachon ki masoomiyat unki masoomana harkatain hamaisha sub ko attract karti hain. Bachy farishiton ki tarha hoty hain. Dunya main shayad hi koi aisa ho ga jo inki shararton aur masoomana harkton per muskray bina rah paye. Laikin aj kal kay bachy masoom honay kay sath sath buhat shararti bhi hain. Aj kal kay bachy to shaitan kay bhi kan katty hain. Bary hairat hi karty rah jaty hain kay yeh kam waqie in kay bachy nay kia hai. Khas tor per aj kal kay bachy dance kay buaht rasiya hain. Bachy kahray hona baad main seekhtay ahin pahlay moseeqi ki thap per thirakna seekh jaty hain. Is ki bari wajah TV hai. Aj kay bachy hosh sanbhalty nahien laikin tv pahly daikhn ashoro ho jaty hain. Tv main music sun kay apnay hathon ko ghumana aik aam sa hi fail ban giya hai. Laikin kuch bachy ghair mamoli tor per chezon ko pic karty hain. Woh dosray bachon say kuch hat kar karty hain. Ise liye woh dosron ki tawajah ka markaz banty hain. Jaisay kay is video main bacha kitna chota sa hai laikin us nay jo dance kia hai woh yo n lagt hai jaisay kise mature bachy nay kia ho. Wo aisay dance kar raha hai kaisay kab say dance ki tarbiyat lay rah ho.Laikin haqeeqat main iski tarbiyat gah tv hai aur koi nahien. Is bachy main pic karnay ki qoouat zayad hai. Ise liye us nay tv main sirf daikh kar hi itna acha dance seekh liya aur phir baghair kise sharm aur jhijhak kay apnay masoom aur payary dance say sub ko intertain bhi kar raha hai. Ap bhi video zaroor daikahin aur is cute dance say lutf uthain.



Sponsored Link

No comments:

Post a Comment