Sunday 15 February 2015

Crickter Umar Akmal Mehndi Video

Crickter Umar Akmal Mehndi Video 



Umar akmal ko kon nahein janta. Umar akmal Pakistan cricket team ka aik important hisa hain. Woh na sirf achay bats man hain balkay aik achay wicket keeper bhi hain. Unhon nay kai achi ennigs kheli hain. Umar Akmal teeno bhai cricket say wabasta hain aur teeno hi acha khailty hain. Laikin Umar in teenon main zayada sensibly khailty hain. Umar ki pichlay dinon shadi ki khabrain khoob media main gardish kar rahi thein. Umar kafi wajeh aur persneleted insan hain is liye sub ko hi buhat intzar tha kay unki dulhan kaise ho gi. Sari awam ki ki khawahish the kay Umar ki dulhan buaht payari ho jo bilkul un kay mutabiq ho aur un kay sath buhat jachay. Is kay sath sath sub Umar ki shadi ko daikhnay aur enjoy karnay kay bhi khwahish mand thay. Umar Akmal shayad un say muhabbat karnay wali awam ki khawahish bhanp gay they. Is liye unhon nay apni shadi POry media per dikahai. Sub nay un ki mehndi, shadi aur waleema teenon function ko daikha aur enjoy kia. Yahan unki mehndi kay function ki video post ki ja rahi hai. Ap daikh sakty hain kay Umar ki mehndi main sub kitna enjoy kar rahy hain. Un kay azeez o aqarab, Ghar waly sub buhat khush dikhai day rahy hain. Kahs tor per dulha dulhan buhat payary bhi lag rahy hain aur khushi kay tasurat nay in ki khobsoorti ko aur bhi char chand laga diye hain. Mehndi ka sara mahol buhat rawayti lag raha hai. Video ko daikh kar hi buhat maza araha hai, To jo log shamil hon gay woh kitna enjoy kar rahy ho gay. Ap bhi video daikahain aur Umar ki shadi enjoy karain.



Sponsored Link

No comments:

Post a Comment