Monday 2 February 2015

Good News For Single Men

Good News For Single Men 


Adakar Resham ko kon nahein janta. Agr acting kay hawaly say bat ki jay to adakara Resham ki acting Pakistan ki kai adakaraon ki nisbat kafi meture rahi hai. Jub Pakistan ki film industry arooj peh the to inhon nay kafi kamyab filmain di thein. Unki kai filmon kay ganay to aj bhi mashhoor hain. 
Resham kay bary main nai news yeh hai kay unhon nay finally shadi ka faisla kar lia hai. Unhon nay ailan kia hai kay woh ab shadi ka irada rakhti hain. Is kay liye unhain kise achay larkay ki talash hai. Jo unko samjh saky unki umedon kay mutabiq ho. Pakistan kay un kanwary mardon kay liye khushkhabri hai jo Resham ko pasand karty aur un say shadi kay khawahishmand hain, To janab intzar kahtm hova keo kay Resham nay green signal day diya hai. Unhon nay apnay aik interview main kaha hai kay shadi naseeb ki baat hai aur ab unhain jaisay hi koi acha larka milay ga woh foran shadi kar lain gi. 
Unhon nay mazeed kaha kay ab woh stage dramon main bhi kam karnay ka irada rakhti hain. Keo hansna hansana aik acha aml hai. Stage dramon main choon kay tanzo mazah ki baat hoti hai hansnay hansany ki baat hoti hai is liye woh stage dramon main kam karna chahti hain. Jaisy hi unhain koi acha script aur acha producer mily ga woh stage dramon main kam zroor karain gi. Resham nay aik hi interview main do ailan aik sath kar diye hain. Donon hi bary hian. Daikhain Resham kay yeh dono irady kub poory hoty hain. Hum unki taraf say anay wali good news kay muntazir rahain gay. 



Sponsored Link

No comments:

Post a Comment