Thursday 12 February 2015

6 Month Baby Swimiming Very Imazing

6 Month Baby Swimiming Very Imazing




Aj kal kay bachy jo karnamay karty hain woh aqal manny ko tayar hi nahien hoti. Insan sochta hi rah jata hai kay yeh jhoot hai is tarha nahein ho sakta. Laikin jub insan apni ankhon say daikh lay to yaqeen karna hi parta hai. Jaisay kay is video main hai. Agar hum yeh baat zubani kise say sunty kay chay mah kay bachy nay tairaki ki to hum kise soorat yeh bat manny ko tayar na hoty. Keo kay hum soochty kay 6 mah ka bacha to abhi baithta bhi nahein hai thek say, Woh to sirf abhi apni ibtdai marahil main hi hota hai maslan dant nikalna, hansna aur concentration karna waghaira. Aisay main agar koi yeh kah day kay 6 mah kay bachy nay tairaki ki hai to bat bilkul manny main nahein ati. Laikin h haqeeqat hai keo is bachy ki tairaki karnay ki video mojod hai. Ap daikh sakty hain kay is video main 6 mah ka bilkul chota bacha nasirf paani main hai balkay apni maan kay sath bary mazy say tair raha hai. Us kay paon chalany ka andaz bilkul mahir tairkon jaisa hai. Woh pani say bilkul bhi khofzada nahein hai. Balaky woh isay enjoy kar raha hai. Hans raha hai khush ho raha hai. Is bachy kay is andaz per besakhta payar ata hai. Aur bachy ki is maharat per bachy kay sath sath us kay waldain ko bhi dad dainay ko dil chahta hai jinhon  nay usay itna confidence dia. Ap bhi yeh video zaroor daikahin ta kay apko bhi yaqeen ho jay kay aj kay bachy kuch bhi kar sakty hain. 



Sponsored Link

No comments:

Post a Comment