Male Sweat Effected On Female's Life
Amooman yeh samjha jata hai kay sanf e mukhalif ko mutasir karnay main shakl o soorat, zahri Khad o khal aur kirdar jaise chezain hi aham hain. Laikin darasal yeh mamla buaht paicheda hai, aur kuch aisay awamil bhi nihayat aham hain jin ko kabhi ahmiyat nahein di gai. Science nay kuch aise tahqeeq ki hai jis nay mardon ko inthai khush kar dia hai. America ki university of Pelselvaniya ki aik taza tehqeeq nay hairat angaiz inkshaf kia hai. Sciencedanon nay 25 say 45 sal ki 18 khawateen per tajarbat kay baad sabit kia hai kay mardon kay paseenay ki khushboo khawateen ka mood acha kar daiti hain. Inka zahni tanao kam ho jata hai. Sakoon o itminan hasil hota hai aur yahan tak kay ayam per bhi musbat asrat muratab hoty hain. In tajarbaat main mardon kay paseenay kay namoonay lay kar inhain khawateen kay upar waly hont per mala gia ta kay woh ba asani isay soongh sakain. Kahwateen ko is mady ki asliyat kay bary main bekhabr rakha giya. 6 ghanty kay doraniye main khawteen kay mood main khushgwar tabdeeli ai aur unhon nay zahni aur jismani asoodgi mehsoos ki. Taveel tajarbaan kay doran unhon nay makhsoos ayam kay doran bhi auqat ki baqaidgi aur taqleef ki kami ko bayan kia. Yeh tahqeeq June main sciensi jreedy " biology of reproduction" main shaya ki jay gi. Laikin jreedy ki website per is kay ahm naqat shaya kar diye gaye hain.
No comments:
Post a Comment