Saturday 7 February 2015

Amazing Pregnant Man In America

Amazing Pregnant Man In America


America to shayad tajarbat ka gharh hai. Har aye din yahan say ajeeb o ghreeb khabrain sunny ko milti hain. Laikin baaz auqat to aisa hota hai kay aise khabr sunny ko milti hai kay zahn isay manny ko tyar hi nahein hota, Insan besakhta hi chonk uthta hai. Jaisay kay is khabr say ap chonk gay kay American mard nay bachon ko janam dia. Yeh ajeeb aur naqabl e yaqeen sahi laikin haqeeqat hai. America main Thomas shakhs nay waqie aik nahein do nahein teen bachon ko janm dia hai. 
Tafseelat kay mutbik Thomas nami shakhs pahlay aik aurat tha. Is nay kuch arsa pahlay apni jins tabdeel karwa li. Aur harmoons kay sath sath surgry bhi karwany laga. Phir is nay Tenis nami aurat say shadi bhi kar li. Laikin is ki yeh shadi qabl az waqt the. Us kay andar abhi aurton wala system mojod tha, Yani andar say woh abhi aurat hi tha. Us ki jeans pory na honay ki wajah say uski bivi maan nahein ban sakti the. So is nay superms ka istmaal karty hovay khud bachy paida kar liye. Is waqt unkay teen bachy hain. Laikin donon mian bivi kay darmiyan tanaziat buaht zayada ho gay thy jis ki wajah say wo talaq chahty thy. Laikin unki kise adalat main sunwai nahein hoti the. Keo adalat Thomas ko mukamal mard tasleem nahein karti the is liye unki shadi ko najaiz qarar day dia jata tha. Woh donon apni shadi aur bachon ko qanooni qarar daina chahty thay. Is liye unhon nay aik kay bad aik adalat ka darwaza khatkhtaya. Is bar unhon nay washington ki adalat main apeal dair ki the. Aur taza treen itlaat kay mutabik is adalat nay bilakhir us ki faryad sun li hai. Aur usay mukamal mard tasleem karty hovay unhain talaq ka haq day aiya hai.



Sponsored Link

No comments:

Post a Comment