Wednesday 11 February 2015

Latest Funny Tricked Cake Prank

Latest Funny Tricked Cake Prank


Funny videos post karny ka maqsad udas chahron per khushi lana hai. Hamarai bharpoor koshish hai kay logon ko healthy aur saf suthri funny videos dikhain. jis say daikhnay wlon ko khushi aur skoon hasil ho. Yeh funny clip jo kay sirf 1 minut 26 second ka hai laikin isay daikh kar insan kuch dair kay liye apni masroofiyat aur thakan bhool jata hai. Insan is bachay ki masoomiyat main hi kho jata hai jo kay is vidoe main logon kay sath mazaq kar raha hai. Is bahcay nay aik park main aik table per cake rakha hai aur cake kay sath aik rasi atach kar di hai jo kay bilkul nazar nahein ate. Log aty hain kake ko pakarty hain laikin jaisay hi woh pakrany ki koshish karty hain to kabhi cake ghair motwaqa tor per un kay buhat qareeb a jata hai jis say baz log to dar jaty hain kuch kay face per ghbrahat saf nazar ate hai kuch ghusa kha jaty hain. Aur jub woh inhain pakarnay lagty hain to woh aik dam door ho jata hai. Is tarha kai logon kay sath hota hai. Laikin koi bhi guess nahein kar pata kay asal mamla kia hai. Akhir main woh bacha hi bahir niklta hai jo table kay neechay rasi khainch raha hota hai. Woh subko bata hai jisay sub buaht enjoy karty hain. Ap bhi video daikahin aur enjoy karain. 



Sponsored Link

No comments:

Post a Comment