Thursday 12 February 2015

Funny Talking Parrot talk wonderfully

Funny Talking Parrot talk wonderfully



Qudrat nay insan ko ishraf ul makhlookat banaya hai. Bolnay ki sochnay samjhnay ki taqat sirf insan ko bakhshi hai. Insan apni salahiyaton main apni misal ap hay. Laikin Allah nay apani qudrat aur hikmatki nishaniyan jagah jagah rakhi hain. Kabhi kabhi to aise aise chezain aur nishaniyan daikhnay main ati hain kay aqal hairan rah jati hai. Kabhi bolty parinday uski yaktai ka saboot diaty hain to kabhi koi anhoni Allah tala ki wahdaniyat ka saboot daiti hai. Jaisay kay is video main ap daikh sakty hain kay toota jo kay dosray parindon ki tarha aik bezuban janwar hai, Laikin Allah tala nay in main say kuch tooton ko itni taqat naseeb kar di hai kay woh aam insanon ki tarha hi bolnay lagty hain. Insan jis tarha ki chahy usay zuban sikha sakta hai. Totoon ko Allah tala nay itni aqal ata ki hai kay woh apni samjh say sawal jawab kar sakty hain. Mukhtalif sawalon kay jawab day sakty hain. Is video main tota jaisay batain kar raha hai usay dsaikh kar aik minut kay liy to keen hi nahein ata yon lagta hai jaisay koi insan bat kar raha ho. Is bhi zayada hairan karnay wali cheez uski woh danishmandana batain hain jo woh is video main kar raha hai. Ap bhi video daikhain aur commints dain.



Sponsored Link

No comments:

Post a Comment